Friday, September 26, 2008

wo kahtey hain Dard

wo kahtey hain kyun karte ho mujhse itni muhabbat
main kahta hoon kyun karta hai ye seene me dhak dhak

wo kahte hain tum bhawnaon me bahe jate ho
main kahta hoon main to bas tera sath pana chahta hoon

wo kahte hain main kis aur ki hone wali hoon
main kahta hoon main ye zindagi tere naam karta hoon

wo kahte hain meri zindagi se door chale jaoo ab
main kahta hoon main to ab jamana chodd jata hoon

wo kahte hain mat karna ab tum yaad mujhey
main kahta hoon bebas dil pe mera koi jor nahi

wo kahte hain khoosh hoon main apni zindagi mein
main kahta hoon bas yahi to chacha tha maine bandigi me

wo kahte hain main tujhey ruswa kar jaoongi
maine kahta hoon yehi to hamari takdeer hai

wo kahte hain meri galiyon me fir kabhi na aana
maine kahta hoon marne se pahle ek baar jhalak dikha jana

dil kiski yaadon main khud ko rula raha hai Dard

dil kiski yaadon main khud ko rula raha hai
kaun hai jisko bar bar yaad kar raha hai

dil e nadan tjhe hua kya hai
tere dard ki dawa kya hai
tm us bewafa se wafae ki aash lagaye baithe ho
jo jante b nhi hain ki wafa cheez kya hai
pata nhi fir bhi aj kya hasrat kar raha hai
dil kiski yaadon main khud ko rula raha hai

dil hai ya pathar tera
ise todne ka mantar kya hai
uski tasweer se aj baaten kar raha hai
jo dil ko khilona mante hain
unhe dil dene ki baat kar raha hai
jaane kiski bekhudae par tarash kha raha hai
dil kiski yaadon main khud ko rula raha hai

jo dil ko tod kar luhuluhan kar gaya hai
fir b apne khun se uska naam likh raha hai
jiski bewafae k kisse sara bazar janta hai
fir b uski mohabbat main khud ko tadpa raha hai
pata nhi kya jaadu kar diya usne
jo bas raat din use hi pukar raha hai
dil kiski yaadon main khud ko rula raha hai
kaun hai jisko bar bar yaad kar raha hai

Hum Lafzo Se kuch bhi izhaar nahi karte

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Hum Lafzo Se kuch bhi izhaar nahi karte

iska matlab ye nahi ki hum tumse pyar nahi karte

chahate hai hum tumhe aaj bhi

par tumari soch me wqth bekar nahi karte

tamasha na ban jaye mahabbat hamari

issiliye apne dard ka iesaas nahi karte

jo kuch mila hsi ussi me kush hai hum

tumare liye khuda se taqrar nahi karte

par kuch to baat hai tumare fitrat me zalim

warna tumhe chahane ki khata hum bar bar nahi karte
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~*

Hum har baat jinhe dil ki batate rahe

Hum har baat jinhe dil ki batate rahe,
Woh chahte the kya humse Chhupate rahe,

Humne bahut koshish ki unhe samajh paane ki,
Wo Mere har faisle ko uljhaate rahe,

Humne pyar mein unke paana chaha Sukun,
Woh har kadam pe humko tadpate rahe,

Jagah nahi badli unke Intazaar ki,
Us jagah ab shaks naye aate rahe,

Us nazar mein kabhi ek Jhalak thi hamari,
Yehi sochkar dil behlate rahe,

Jinke dil mein jagah na Thi hamare liye,
Hum unki yaadon ko dil se lagate rahe,

Unhe bhool Paane ki ek nakam koshish mein,
Unhe yaad karke unko bhulate rahe

Thursday, September 25, 2008

Bahana Mangta Hai Peene Wala

Bahana Mangta Hai Peene Wala
Ek Aur Ghoot Chata Hai Nashe Me Jeene Wala
Gum Me Peete Hai Hum, Ki Bhula De Sari Duniya
Khushi Me To Peene Ka Maza Hai Nirala

Peene Walo Se Poocho Hai Cheez Kya Peena
Jisne Pe Nahi Sharab Uska Jeena Kya Jeena
Peke Taaro Jo Maine Chu Liya
Hua Hai Man Mera Bhi Dewana

Kabhi Tum Bhi Nashe Main Chal Ke To Dekho
Un Dagmagate Kadmo Ka Tum Bhi Maza Lo
Zamane Ne Thoker Hai Sabhi To Diya
Zakhmo Se Darta Nahi Hai Perwana

Jab Mohabbat Me Mili Bewafai
Zindgi Jaam Se Maine Payi
Mahboob Ne Jab Gale Lagaya Liya
Piyala Bana Khushi Ka Afsana

Hai Wo Sukh Dookha Ka Mera Saathi
Jisse Mere Siwa Duniya Se Kuch Lena Nahi
Wafao Ka Piyala Maine Haath Me Liya
Yeh Naseeb Jane Sirf Peene Wala

Tuesday, September 16, 2008

Kaise thi wo raat, kuch kaha sakta nahi main

Kaise thi wo raat, kuch kaha sakta nahi main,
chahoon kahana to bayaan kar sakta nahi main....
dulhan ban ke meri jab wo baahon me aaye thi,
sej saji thi phoolon ki, par usne mahakaai thi........
ghoongat me ek chand tha, aur sirf tanhaai thi,
aawaz dil ke dharakne ki bhi, phir zor se aaye thi...
pyar se jo maine ghoongat chand par se hataya tha,
pyar ka rang bhi utar kar uske chehre par aaya tha.....
baahon me lekar usko, phir labon ki laali churaai thi,
us sard raat me saanse bhi, shola ban kar takraai thi.....
tika, bindi, kangan, payal sabne shor machaaya tha,
jab uske shokh badan ko maine apna hath lagaaya tha.....
doob gaye the hum dono, dahaki se pyar ki aag me,
tod diya tha humne kaliyon ko, uske pyar ke baag me....
kya batlaayen ab hum, wo meri kis kadar niraali thi,
humari SUHAAG ki wo RAAT, jo itni matwaali thi........

Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do

Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

teri yaaden bhi

teri yaaden bhi,
tujh si zalim hain,
jab dekhti hain tanha hamen,
sataane chali aati hain....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
tum karte ho hum se dillagi,
hamne to ise mohabbat hi maana hai,
jee bhar ke sataa lo hamen,
abhi tumhara hi zamana hai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Yun base ho tum hamare dil me,
har saans aati hai chhukar tumko,
tumhe hamse mohabbat na sahi,
par tumse hai mohabbat humko....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Humne kab tumse zamane bhar ki daulat maangi hai,
bas teri ek nazar ke talabgaar hain hum,
tum khush raho yehi dua hai meri,
kuch aur maangen to gunehgaar hain hum...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Izhaar-e-ishq ne hamare,
berukhi aapki badhaa di
lagta hai iqraar karke,
humne sabse badi khataa ki....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Aate the khayalon me, ab sapnon me bhi aate ho
Apne chahne waalon ko,kyon itna tadpaate ho
Hum hain bechain yahan, tum wahan muskuraate ho
Dil to liya hamara, ab kya jaanlena chahte ho.....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Dil ka ye dard aankhon se beh jaaye to achha hai,
Tu chaah kar bhi hamen yaad na aaye to achha hai,
Maangne ko to khuda se maang len tujhe,
Par ye dua hothon par na aaye to achha hai...

Eei Khudda bahot badda hei jahan tera

Eei Khudda bahot badda hei jahan tera
Ish jahan mein he koi nahi bhi mera
Kehne ko toe tunei bahot kuch diya
Aur kahe toe kuch bhi nahi hei mera!
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Mohabbat ko mahobbat ki tarah paa na sake
Mohabbat ko ibaadat keh Khudda tujhe maan liya
Dil sei dil toe kabhi mill na sakei
Tere kadmo mein dil ko kurbaan kar diya
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Eei mehboob mere yeh julm na kar
Inn nazaro kei tir sei dil pei vaar na kar
Yeh dil tumhei har pal duwaaye deta hei
Thoda soch kar tun ish dil par rahem kar
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Yeh doe nanhi si aankhein, sacch chupaaye toe kaise
Yeh ek chotta sa dil, raaz bataaye toe kaise
Ajib uljan mein hei, koi ishe suljaaye
Raaz chupaaye toe kaise, aur bataaye bhi toe kaise
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
apne honthon par sajaa kar tujhe,
ham tere hi geet gaana chahte hain,
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi,
bas ek baar roshan hona chahte hain......
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
ab bhi har subah teri yaad chali aati hai,
din hamare sang bita kar raat ko hi jaati hai,
teri yaadon ke aane jaane ka silsila yun hi chalta rehta hai,
aur dil hamara shama ki tarah jalta rehta hai......
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
hukm hai yaar ka,
dard chhupa kar ankhon me ,
tum yun hi hansa karo,
yaad hamari aaye to bhi,
aansuon se na vaasta karo

Jab aasman ke sitare, humko dekhte hei

Jab aasman ke sitare, humko dekhte hei,
Hum kuch anjani soch mei pad jate hei,
Har lamha hum aisa mehsoos karte hei,
Ki voh kuch kehte hi, chup ho jate hei..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Jabh jindagi sajati hei toe, dulhan si lagati hei,
Jabh yeh rang badalti hei toe, ek bewa si lagati hei,
Yeh be-raham toe kisi se bhi, vafa nahi karti hei,
Phir bhi sabhko yeah, mehbooba si lagti hei...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Hum dil se dil ko fariyaad karte hei,
Har pal mere sanam tujhe yaad karte hei,
Hum sada tumse be-imtinha pyar karte hei...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Logo ne dharati dekhi, amber dekha,
Mausam dekhe aur jivan bhi dekh liya;
Humari yeh najre aur kya dekhe,
Jisne aapka yeh hasin chehra dekh liya...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Rom-Rom mei humare voh base hei,
Najare humari aur chehra unkha hei,
Har saans mein humari voh base hei,
Dhadkane humari aur dil unka hei...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ish kadar hum unki mahobbat mei kho gaye,
ki ek najar dekha, aur bus unhi ke hum ho gaye,
Aankh khuli toe andhera tha, dekha ek sapna tha,
Aankh bandh ki aur, unhi sapno mei phir so gaye...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Yeh tabasoom ka rang hei,
ya sirf laali hei,
Yeh mahobbat ka dhang hei,
ya sirf mehrbaani hei...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye,
Mahobbat aap de, toe ush dil ke, thoda karib hum aaye,
Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye,
Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan, kanhi tham na jaye...

Unn dino ki yaad ne aaj dilko phir rulaaya hei

Unn dino ki yaad ne aaj dilko phir rulaaya hei
Sur ke adhurepan ne, nagmo ne tumhe phir bulaaya hei
Tere jaane ke baad se dil mera khamoshi se dhadka
Khamosh mere dil ne, aaj kuch phir gun-gunaaya hei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Subah aayne mein anjaan sa chehra nazer aaya
Kitne badal gaye hei hum aaj hume hons aaya
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Vafa-e-ishq mein hum luut jaayenge Aur tuje majboor kar jaayenge
Humei chahne ko tum majboor ho jaaoge Aur hum tumhe chorr jaayenge
Kasam hei mujhe apne pehle pyaar aur vafa ki
Jo dard diya hei tune mujhe Ush dard ka tuje ehsaas karvayenge
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Bewafai bhi kubool hei mujhe,
vafa ka mohtaaj nahi mera pyaar
Dil toe mera yunhi nisaar hei,
abh chahe ikraar ker ya inkaar
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Phoolo ke bicch khade ho kar bhi khusboo ki kami hei
Baharo ke bicch jhoom kar bhi khushiyon ki kami hei
Sabhke saath hote hue bhi mere mehboob teri kami hei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Jabh aankh mein nami si hoti hei,
Dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye,
Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...!
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Apne hotho par kuch nagme,
chupa kar hum bethe hei,
Dil ke arman, dil mein kanhi,
daba kar hum bethe hei..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Jabh suraj dhalta hei,
toe aashman ka rang badal jata hei;
Jabh kismat badalti hei,
toe logo ka dhang badal jata hei.

Jo na Istamaal hota

Jo na Istamaal hota,
Lafz-e-Ulfat ye bar-bar.
Zara Main bhi kharch karta,
Ise tum par sambhal kar.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Dil teri yaad mei aahein bharta hei
Tujhse milne ko pal pal tadapta hei
Mera haseen sapna kho na jaaye kahin
Bas ishi baat se har pal darta hei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Tu zindagi bann gaya hei
Meri bandagi bann gaya hei
Khuda maaf kare mujhe
Meri aakhri aarzoo bann gaya hei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Aankhon mei teri duub jaane ko dil chahta hei
Ishq mei tere tabha hone ko dil chahta hei
Koi sambhale mujhe, behek rahe hei mere kadam
Wafa mei teri mar jaane ko dil chahta hei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Utar na jaoon kanhi tere dil ki gehraaiyo mei
Chup na jaoon kanhi teri ish parchaaiyo mei
Mujhe rok lo ish nashe mei khone se
Kho na jaoon kanhi tere ishq ki sarghosiyo mei
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Vakt ne kalam uthaai
Khoon bana shyahi
Dil ke kaagaz per
Likhdi Tabaahi
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Dil ke mausam bhi kaash kabhi badalte
Kabhi patzhad toe kabhi bahaar bhi late
Viraan sa raha hei yanha ka shamaa
Shama-e-mehfil kaash koi yanha bhi jalate

Monday, September 15, 2008

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo

Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka

Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se

Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main

Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum

Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
par tere aaney key baad phir tanha ho gaya

Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafj teri jubaa sey pyaar key,
suney hue lagta hai, jamana guzar gaya..

Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya…..

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri ulfat ka yakeen tha,
Tere aaney kii umeed thi…
Tere intezaar mey katii phir ek shaam zindagi kii….

Muhabbat mey teri hum ko,
Bhoola yeh jahan saara…
Khud dil ki dhadkan apnii humko lagti hai ajnabii sii….

Sare-raah girtey hai chaltey chaltey hum,
Rehtey hai gum aksar khayalon mey yu tere…
Lagta hai aisa jaisey humpar chaii ho bekhudii sii….

Aawaz teri humko deti hai sukoon hardum,
Chehra tera rehta hai meri aankhon mey sanam….
Tere dard-e-judaai mey bhi milti hai ek khushii sii…

Bolo, Khwabon mey mere aatey ho kyon bhala
Aatey ho to chodh kar jaatey ho kyon bhala…
Aadat bus yehi teri humko lagti hai burii burii sii…

Dil mera Soona Soona…

Dil mera Soona Soona…
Soona lagey mujhey apna pyaar…
Aankhon mey bhi ek soonapan,
Aur tumhara Intezaar….

Adhletey hum likhtey hai,
Dil ki baatein kagaz par,
Likhtey hai Tera Naam aur
Likh kar mita detey har Baar….

Dekh naa paaye mere aansoo,
Dekha naa mera deewanapan,
Samjha naa kabhi mujhko tumney,
To Samjhogey kya mera pyaar….

Aaj ki raat


Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hoon, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi….
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanaasaai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnaai nahin…..
Merey chandaa, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjho haal-e-dil bayan hua…
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhein gey kuch naya hua……

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
Dard main doobi hui yeh zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!

Humne mehboob ki aankhon par

Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !!

Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue

Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna
Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!

Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum

Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye insaan ko janam !!

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney

Dukhon Key Saye Main Zindage Guzari Main Ney

Phir Bhi Khush Reh Kar Khood Ko Saza De Main Ney

Khushi Tu Na Mumkin Se Hai Mere Zindage Main

Phir Bhi Zindage Main Khusion Ko Panah De Main Ney

Dukh Sehney Ke Adat Se Par Gaye Hai Mujh Ko

Is Dukh Sey Jaisey Dosti Kar Le Hai Main Ney

Merey Dukhon Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi

Phir Bhi Kise Sey Umeed Lagaye Hai Main Ney

Us Ney Merey Dukhon Ko Ek Bahana Samjha

Phir Bhi Us Ke Berukhi Ko Apna Liya Main Ney

Apney Ansu Or Gham Ley Kar Kahan Jaon Main ?

Jis Key Sath Yeh Sab Banta Tha Usey Hi Koh Diya Main Ney.

har taraf tanhai hai

har taraf tanhai hai
har taraf andahra hai

du’a main bus maine us ko maanga hai
wo bhi majhey na mila hai

phir bhi tum majh se kahte ho rona nehi hai
es waqt puri duniya majh per has rahe hai

dil rona ko chah raha hai
aur tum kahte ho rona nehi hai

joutha khwab dhekatee rahe tum
majhey ab kio khwab nehi dhekna hai

yeh duniya dhoka se bhari hai
majhey es duniya mein ab nehi rahna hai

har kio jate jate lambi umar ki dua dai jata hai
du’a dai kar majhey apna fiyda ka liye estamal kar ka chala jata hai
majhey zindagi se kio shikyaat nehi hai
majhey to es zindagi nai sab kuch deya hai

shikyaat to bus apna naseeb se hai
kyon ka sab kuch mil kar bhi koh gaya hai
apni takqeer hi karab hai
jo use hasil kar kai bhi kise aur ko dai deya hai

hum nai to khod apna hatho se
Apni khud kabar bana li hai
hum nai to apna dil ka hatho majboor ho kar
apna paoo per khud kolhari mari hai

A dil tuna ab rona nehi hai
bus ab rona nehi hai

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....

us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan...

chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi...

or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....

jane kya us ko loghon se thi shikayatein....

tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya...

khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya....

mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya..

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai
Muskurana To Apni Aadat Hai
Roshni Ho Ke Ghup Andhera Ho
Dil Jalaana To Apni Aadat Hai
Aap Kab Tak Sambhalege Humein
Larrkharrana To Apni Aadat Hai
Hain Sitamgar Khafa To Hone Do
Sar Uthaana To Apni Aadat Hai
Raah Chalti Hui Museebat Ko
Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai
Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai !

Aey zindagi tu mujhse kya chahti hai
Kahin jeet to kahin har chahati hai

Kyon cheen leti ho mujhse apnain
Kyon todh deti ho tum mere sapnain

Koi mila tha kuch aise safar main
Kadam thakey they jab rah hi main

Vo jo mile tu ladkhadate kadam bhi
Manzil doondnain lage mere kadam bhi

Ab voh alug hain khud se b hum se bhi
Hum b khafa hain unse b khud se bhi

Chalo yeh faisla ab voh kiye hain
Hum hi kisi kaam k hi nahi hain

Aey zindagi tu bade kaam ki cheez hi hai
Kabhi dil tu kabhi dhakan hi cheente hai

woh yaro ki mahefil

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

woh yaro ki mahefil woh mushkurate pal dul se juda hai apna bita hua kal kabhi zindagi guzarti thi hassne hansane me..

aaj waqt guzrta hai kaagaz k tukde kamane me...

husn wale khub wafaon ka sila dete hain har mod pe ek dard naya dete hain a dost is jahan me koi apna nahi hai jab aa g lagti hai to patte bhi hawa dete hain..

todna hota to rishtey na banate ummid na hoti to sapne na sajate aitbar kiya hai apke pyar pe bharosha na hota to apne dil ka hissa na bante

woh aankho me aansu liye bethe hain hum bhi unke pyar me pagal hue bethe hain hum to jaan dene ko bhi taiyyar hain magar woh humari jaan bankar bethe hain..

ye aarzoo nahi kc ko bhulaye hum na tamnna hai kc ko rulaye hum par dua hai itni Allah se j jiske jitna yad kate hain hum unko utna yad aaye hum...

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tere hothon pe main ek din

Tere hothon pe main ek din
Dewaanaa pyaar likh dungaa
Teri maoosom hichaki par
Kai uphaar likh dungaa
Tere bahake se kaalon par
Tere sharmaaye gaalon par
Tere khwaabon khayaalon par
Mera iqraar likh dungaa
Tere gardan ke dhaalon par
Ubharate sab sawaalon par
Main apane ishk ke gahare
Kai izhaar likh dungaa
Tere kaandhon ko thaamungaa
Tujhe khud main milaa lungaa
Teri dhadhakan ki har dhun main
Meri jhankaar likh dungaa
Teri in shokh saanson par
Chhupaa kar rakhi pyaason par
Teri dharati pe barasunga
Kaan kann pyar likh dungaa
Kabhi maawa na kaali ho
Teri har shab diwaali ho
Nassebon ki kitaabon main
nayaa sansaar likh dunga

Dil-o-jaan se chaha hai tum ko

Dil-o-jaan se chaha hai tum ko,
Shayad aap bhi hum ko itna hi pyar karenge,
Ahs laga ke bhaite hain hum,
App ke dil ko dastak dete phirte hain,
Kya aap ko sunye derhe hamare kht khta hat?
Dil ke drvaze ko bande maat karna,
Band hain tho kholne maat bhulna
App ki zindagi ke awwaaz hum ko yahan tak ate hain
Kash aap ko khbar hai
Ki app se jo baaten ki thi
Vo aaj tak hamare dil mein baase hain
Aur app ke yaden ha mein ajj tak rasee hain
Dil ka dard hain
Dawa app ke paas hain
Yeh kya insaaf hai char din jo muntazir huvi hain
Us ein bhi marddalna chate ho kya
Laken hum app ko apne mein basa ke zinda rahenge
Agar maut aagyi bhi tho bhi App ko yaad karnge
Lak sataooge zindagi mein
App ko yaad karnge aur je jayenge
Bus app aur meri tanhayi

Sunday, September 14, 2008

Raat ko din keh bhaiteh

Raat ko din keh bhaiteh,
Din ko raat keh bhaite,
Yeh kya hoova hain hum ko
Shyad mujeh pyar hogya hai
Par khud par yakee nahi hain,
Kya yahi pyar hai
Yaad kise ki ati hai phir dil ko satathi hai
Aur ate jate jo milta unsa lagta hai
Kya yahi pyar hai
Intazar hota hai
Kamoishi chajate hai
Dil bekkharar hojata hai
Nend udd jate hai
Raat tho durr humein ujala kab hota ai yeh bhi nahi pata
Kya yahi pyar hai
Vo ayenge
Ek din mulakat hogi
Dil ko sukun mile ga
Khud par yakeen hoga
Raat ko raat kahenge
Din ko din kahenge
Laken vo din ayega
Suchth hoon kya aysa sooch na pyar hai
Lagta hai yahi pyar hai!!!!

Teri yaad hamesha rahegi

Teri yaad hamesha rahegi,
teri faryaad hamesha rahegi,
teri har woh baat, saare woh khayaal,
dil mein tera woh armaan, chahat ka farmaan,
na bhooloonga kabhi waqt ke saath,
tuhi ek chahat thi, dil ki zaroorat thi,
gham mujhe rahega na ezhaar karne ka,
zindagi mein tujhse door rehne ka,
dua khuda se karoon ki main isse sehloon,
teri yaad ko kinaara banakar rehloon.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri aadat si hogayi thi,
dil ki tu raahat si hogayi thi,
teri judaai na manzoor thi kabhi,
dil se dil ki duuri na manzoor hai kabhi,
mere ezhaar-e-ishq ki mujhe hamesha gham rahegi,
tujhse na keh paane ki sajaa rahegi,
sabak mere baatoon mein nahin zindagi mein rahegi,
tere wafaa ko salaam, judaai se kafaa rahegi.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Raah mein chalte the teri yaad lekar,
kaise chalenge ab bin tere faryaad lekar,
har kadam ek sadma lagta hai ,
chalte raah mein har koi tujhsa lagta hai,
bebuniyaad si lagti hai zindagi,
kaise guzaroon, na kat thi hai zindagi.

Chahne wale hote hai bahut

Chahne wale hote hai bahut par dil hota hai kisi ek ke liye.....
Palke ghukti hai bahut par ruk jati hai kisi ke yaad ke liye....


Mushkil hoti hai bahut rasto par laken rah hoti hai kisi ek liye....
Kosish kare kitna bhi par dil mein rahe woh har pal tumhari himmat barane ke liye...

Muskurate hai hum aayne mein dekh kar unke chehare ko yaad kar kar ...
Na pass ho agar to gaam nahi par pyar karte rahenge usse marte dum par...

Jo nami basa rakhi hai humne apne in ankhoo mein kuch pal ke liye...
Dua karte hai raab se khusi milti rahe unhe har pal aansuu na aaye humare liye...

Dil chahta hai pyar ka yeh silsila chalte rahe is tarah gamo ke baris na ho...
Raat par raat beet jaye par kabhi dubti hui chandni ka ehsas na ho...

Teri doli uthi

Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,

FARQ SIRF ITNA SA THA,

Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya ,
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,

FARQ SIRF ITNA SA THA,

Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya ,
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,

FARQ SIRF ITNA SA THA,

Unka hasna wahan,
Inka rona yahan,
Qazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,

Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,

FARQ SIRF ITNA SA THA,

***Tujhe apnaya gaya ,***
***Mujhe dafnaya gaya . ***

Saturday, September 13, 2008

Apne Dil Mein Tujhe Basana Chahta Hoon

Apne Dil Mein Tujhe Basana Chahta Hoon,
Khudko Teri Mohabbat Ka Mohtaaz Banana Chahta Hoon,
Tere Saath Rehkar Tere Gamo Ko Bhulwana Chahta Hoon,
Teri Zindagi Mein Apne Pyar Ka Rang Bharna Chahta Hoon,
Teri Khushiyon Ke Liye Bhagwan Se Ladna Chahta Hoon,
Tumhari Bahon Mein Mai Khud Ko Chupana Chahta Hoon,
Apne Haatho Se Teri Zulfo Ko Sawarna Chahta Hoon,
Apne Pyar Se Tere Gaalo Ko Sehlana Chahta Hoon,
Saath Tere Apni Alag Duniya Basana Chahta Hoon,
Chahat Hai Ye Meri,
Jise Mein Apni Jaan Se Bhi Jyada Chahta Hoon.

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wo Pyari si Hansi tere Chehre ki,
Wo Kajal se Saji Aankhen teri,
Wo Dil kashi Zulfein teri,
Wo Khil khilata hua Chehra tera,
Wo Madhosh kar dene wala Ehsaas tera,
Mujhko mujhi se Chura le gaya,
Mujhe tera Deewana bana le gaya...
Wo Dilnasheen Baatein teri,
Wo Pyar bhare shabd tere,
Wo Sweet si Aawaz teri,
Mera Dil Chura le gayi....
Wo Hanskar mujhse Baatein karna tera,
Mere seene pe apna Sir rakh kar So Jana tera,
Mujhse Gale Lag kar mujhi mein kho Jana tera,
Meri baahon mei Khud ko Chupa lena tera,
Mujhe tera Mohtaz bana gaya....
Ab tu hi bata ki Ismein meri kya Khata thi,
Maine tau sirf Tujhse Dosty ki thi,
Dosty ko Pyar mei tau tune hi Badla tha,
Apni in Dil kash Adao se hi tau tune mera dil Loota tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aaj Hi Kay Din Tau Maine Tera Haath Thama Tha,
Tujhe Maine Apna Dost Mana Tha,
Aaj Se Hi Tau Tune Mere Dil Mein Basna Shuru Kiya Tha,
Apni Harkaton Se Mera Dil Churana Shuru Kiya Tha,
Ye Ek Saal Bhi Kitni Jaldi Beet Gaya Ae Dost,
Abhi Tau Maine Tujhe Jana Bhi Nahi Tha,
Apne Pyar Say Tujhe Puri Tarah Loota Bhi Nahi Tha,
Aur Kitni Jaldi Ye Waqt Guzar Gaya....
Abhi Tau Maine Tujhse Apne Pyar Ka,
Ishaar Bhi Nahi Kiya Tha,
Apni Shayari Mein Tera Naam Bhi,


Abhi - Abhi Tau Likhna Shuru Kiya Tha,
Aur Kitni Jaldi Ye Waqt Guzar Gaya.......
Mujhe Tau Har Roz Yahi Lagta Tha,
Kay Kal Hi Tau Maine Tujhe Apna Dost Banaya Tha,
Par Kisko Pata Tha Ki Ye Beeta Hua Kal
Itni Tezi Say Ek Saal Ban Jaega,
Aur Kitni Jaldi Ye Waqt Guzar Jaega......

Ab Ke Yun Dil Ko Sazaa Di Hamne

Ab Ke Yun Dil Ko Sazaa Di Hamne..
Us Ki Har Baat Bhulaa Di Hamne..
Ek-Ek Phool Bahut Yaad Aaya..
Shaakh-e-gul jab Wo Jalaa Di Hamne..
Aaj Tak Jis Pe Wo Sharmaate Hain..
Baat Wo Kab Ki Bhulaa Di Hamne..
Shahre-Jahaan Raakh Se Aabaad Huaa..
Aag Jab Dil Ki Bujhaa Di Hamne..
Aaj Phir Yaad Bahut Aaya Wo..
Aaj Phir Us ko Du’aa Di Hamne..
Kuch To Baat Hai Us Mian “E-Khalid”
Har Khushi Jis Pe Lutaa Di Hamne..!!

-*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi tha uska saath afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo..
Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo..
Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoonga afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo..
Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Gar kismat main hai ALLAH zarur milayega
Bekaar gee pe bojh liye phir rahi ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo..!!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mere liye kuch khaas hai wo shaqs...
Mere liye meri ROOH hai wo shaqs...
Jiski BAATON ne mujhi ko mujhse se CHURA liya,
Mere liye meri SAANSE hai wo shaqs...
Jiski har ek ADA ne mujhe Pagal bana diya.
Mere liye meri saari KHUSHIYA hai wo shaqs...
Jise khush Dekh kar mera dil khush hua,
Mere liye mera NOOR hai wo shaqs...
Jise mai apna DILBAR, DILKASHI keh saku,
Mere liye MERI HEENA hi hai wo shaqs...