Wednesday, August 27, 2008

Waqt ki dhup ho ya barish

Waqt ki dhup ho ya barish,
kuch kadamo ke nishan kahin nahi hote.
jinhe yaad karke khush hoti hai ankhen,
wo log dur hote hue bhi door nahi hote.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho...
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho...
Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho...
Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho...!!!
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi,
sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki..
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Patton pe bani ye shabnam,
Seenpon me chhupa ye moti,
Aankhon se gira ye aansu,
Kisi shab ke andhere men,
In sab ka fasana hai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Raonda gaya hun jaise,
Panwo tale masle gaye hon Phool.
Mumkin hai iski khushboo,
Ab failegi bahut door

Rah Rah kar teri yaad aaye to kya karu

Rah Rah kar teri yaad aaye to kya karu?
Yaad teri dil se na jaye to kya karu?
Sochata hu ki hogi mulakat khwabo me,
Lekin kambakhat nind he naa aaye to kya karu?
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Aap paas raho ya dur
hum dil se dil ki awaj mila sakate hai,
Na sms ke na khat ke mauthaj hai hum
Per aap ke dil ko ek hichaki se hila sakate hai.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Waqt ki dhup ho ya barish,
kuch kadamo ke nishan kahin nahi hote.
jinhe yad karke khush hoti hai ankhen,
wo log dur hote hue bhi door nahi hote.
Aisi bewafayi ki usne ke...
mohobbat bhi badnaam hogayi...
Apne chahton ki keemat itni vasool...
ke hamari kabr tak bhi neelaam hogayi..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ek lamhe me unhone hamari jindagi sawar di,
Ek lamhe me unhone hamari jindagi ujaad di,
Kasur unka nahi hamara tha,
Un do lamho me humne sari jindagi gujaar di.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Rah Rah kar teri yaad aaye to kya karun?
Yaad teri dil se na jaye to kya karu?
Sochata hu ki hogi mulakat khwabo me,
Lekin kambakhat nind he naa aaye to kya karu?

Milke bichadna dastoor hai zandagi ka

Milke bichadna dastoor hai zandagi ka,
Ek yahi kissa mashhoor hai zandagi ka,
Beete huye pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zandagi ka
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ilzaam unper koi aane na denge.....
Bewafa bankar unhe jaane na denge......
Khud hi seh lenge sare dard.....
per unhe kabhi sir jhukane na denge.....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Zindagi se jo tum ja chuke ho...
har taraf se hum barbaad ho gaye...
Muskuraate hain khud ki maut par...
ansoo chipaane mein ustaad ho gaye.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Hunar nahi aata hamain dilon se khelne ka...
isiliye ishq ki baazi hum haar gaye...
Shayad unhen tha meri zindegi se bahut pyar...
isiliye mujhe jeete jee hi maar gaye.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Toot padti hai nayi roz khabar shaam ke baad...
waqt hota hai azabon mein basar shaam ke baad...
Meri aankhon se baraste hue daryaon me...
doob jati hai teri raah-e-guzar shaam ke baad.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ek lamhe me unhone hamari jindagi sawar di,
Ek lamhe me unhone hamari jindagi ujaad di,
Kasur unka nahi hamara tha,
Un do lamho me humne sari jindagi gujaar di.

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta


Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake
wo meharbaan nahi milta
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Khushnaseeb hai hum jisse aap jaisa yaar mila
pathron ke jahan mein sacha pyar mila
jeeye tumhe dekh dekh,
marre teri baahon meinyeh aarzu hai meri
do pal ka tha sab ae dost....
sadiyon se lamba hamein intezaar mila
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ae Khuda meri mohabbat mere havaale karde
Tadap rahi hu uske bina yeh judaai kam karde
Reham kar iss chote se dil pe ya Khudaaya
Uski mohabbat mere naseeb mein karde
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Nafratein bhi uss se ,mohabbatein bhi uss se
Yeh dil ke maamle bhi hua karte hai ajeeb
Na toot kar jurre, na jud kar kabhi toote
Yeh qurbaton ke faasle bhi hua karte hai ajeeb
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Teri har adaa mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judaai muddat si lagti hai
Aisa pehle nahin tha jo ab lagta hai
Ke zindagi ke har lamhe mein teri zarurat si lagti hai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Yun door rehkar dooriyon ko badhaaya nahin karte
Apne deewaano ko sataaya nahinkarte
Har waqt bas jisse tumhaara khayaal ho
Usse apni aawaaz ke liye tadpaaya nahin karte

mujhe dard e ishq ka mazaa malom hai


mujhe dard e ishq ka mazaa malom hai
dard e dil ki inteha malom hai
zindagi bhar muskurane ki dua naa dena
mujhe pal bahar muskurane ki sazaa malom hai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Bewafaayi ka dard kaisa hota hai koi humse puche
tanha raaton mein rona kaisa hota hai koi humse puche
takleef mein jeene ki aadat si hogayi ab ae dost
jab apna koi daga kare toh kaisa lagta hai Koi Humse Puche
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Rokk nahin paate yeh aansoo chalo aaj ji bhar ke behne do
mein thi kabki tanha ae dost mujhe tanha hi rehne do
unse wafa karke yeh inaam paaya humne
vo agar kahe mujhe bewafa toh usse kehne do
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Tumse rishta tod bhi nahin sakte aur jod bhi nahin sakte
tu Bewafa hai ye soch ke tumse muh mod bhi nahin sakte
beshaq tu kisi aur ke haathon ki lakeeron mein hi sahi
yeh soch ke hum tumse milne ki aas chod bhi nahin sakte

Friday, August 22, 2008

Ik boond sharab mein


Ik boond sharab mein tumhaari nasha donta ho,
Isi bahane hum har roz ek mehfil doontha hoon,
Bewaffai ka zakhm to chupalaete hain yaaro,
Par un yaadon keliye ek kafan doontha hoon"
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Agar rakh sako to ek NISHANI hu mai,
Aur kho do to ek KAHANI hu mai,
ROK paya na jise ye JAHAN sara ,
Woh ek BOOND aankh ka PAANI hu mai
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Neendain meri aankhon say churaata hai wohi shakhs
So jaon toh khuwabon mai bhi aata hai wohi shakhs
Her zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahi hai
Her zakhm pay marham bhi lagaata hai wohi shakhs
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Mil ne ki khushi na bichad ne ka gham,
na tanha na udaas hai hum,
kaise kahen kaise hai hum,
bas yun samajhlo,
aapki dosti ke bina akele hai hum....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Kya batau kisiko kya dard hai seene mein
maut aajaye gham nahin....ab kya rakha hai jeene mein
gham sharaab se agar pal do pal ke liye rukhsat hojaaye toh
ae dost kya harz hai phir peene mein
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Mushkil hai ab in labo ka kabhi muskura paana,
Mushkil hai ab is dil ka kisi ke liye dhadak paana,
Chalakte hai sirf aansu in aakhon se ab to,
Mushkil hai inme kisi ke liye sapne sajaana.

Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye


Honto pe tumhare hamara naam tak na aaye
mein milne aau par tu bahar na aaye
anjaan hai hamare pyar se vo ab tak
ya shayad hum jaiso pe unko taras na aaye
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Maang lenge tujhe apne khuda se hum
cheen lenge tumhe har kisi se hum
mere siva tum pe haq nahin kisi ka
na karna bewafai mujh se kabhi varna duniya chod denge hum
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Nahin sunta koi toote hue dil ki fariyaad
chod gaye aaj vo hi jisse kiya har pal dil se yaad
ae mehboob tehar ja saath, aankho ki barsaat tham jane tak
kya pata fir rahe na rahe hum tere aane tak
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Dard jigar mein uttha hai, koi marham lagane vala nahin
aag lagti hai dil mein, koi bujhaane vala nahin
kis se umeed rakhe hum iss bhare jahan mein
har kisi ne rulaaya iss qadar, koi hansaane vala nahin
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
SAZAA denewale Humse RAZA poochte hai..
Jab Jee Rahe hai to jeene ki wajah Poochte hai..
Dete hai khudi humko ZEHER..
Aur kitna hai Asar ye poochte hai ....
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain
Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain
Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki
Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain

Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya


Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi-Hassan
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.-Hassan
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho,
Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,
Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha
Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha
Apne ko aaj maine beganaa hote dekha
Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha-Hassan
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe
hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe
aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun
aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe-Hassan

Tuesday, August 19, 2008

Mere haathon se



Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Hausle Zindagi Ke Dekhte hai,
Chalo Kuch roz Jee ke Dekhte hai.
Baarishonse to Pyas buzhtee nahin,
Aao Ab Zeher Pee ke Dekhte Hain.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Koi Nazre Churaye to badi taqleef hoti Hain..
Koi Daaman Chhuddaye To Badi Taqleef Hoti hai..
Kisise Pyar Kar per ZYada bhi mat kar Aye Dost..
Kyoun ke Jab Dil tutt ta Hai to Badi Taqleef hoti hain..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Zakhm itne gehre hain, izhaar kya karen . . . .
Hum khud nishaana ban gaye,Waar kya karen . .
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen
Ab is se zyaada unka, intezaar kya karen . . .
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Tamaam Umr Bhatakte Rahe Gulistanon me.,.
Kisee ek bhi Phool me Wafa ki Mehek na milee..
Hawas ke Naam Pe to Muh khul Gaye Khazanon ke.
Wafa Ke Naam pe Maanga to Bhick Tak Nahin Milee..
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Ye kabhi na socha tha tumse hamari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ye na socha tha kabhi tum sab se badi bewafaa hogi
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Dil ki duniya tootne ke baad sab rote the
Hum the ki pagalon ki tarah hanste the
Yeh hale dil hum kaise sunaye ki
Takleef na ho unko iss liye akele rote the

Monday, August 18, 2008

KUCH DIL SE

$Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai,
Ishq Me Chaar Pal Ki Zindagi Kafi Hai,
Dubne Ko Samandar Me Jaye Kaha,
Aapki Aankhon Se Tapka Vo Pani Kafi Hai.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-
$Kasak dil ki dil me dabi reh gayi,
zindagi mein unki kami reh gayi,
itni ulfat ke baad bhi wo mujhe mil na saki,
shayad meri mohabbat mein koi kami reh gayi.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-
$Jab zindagi samajh me aayi,
to zindagi se door the hum, marna chahha par jeene ko majbur the hum,
har sazaa kabul ki humne sar jukha kar,
kasur itna tha ke bekasur the hum.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-




$Mohobbat ne hame rula diya,
jis par marte the usne bhula diya,
ham bhi peete gaye use bhulane ke liye,
aur ek din us bewafa ne usme bhi zeher mila diya.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-
$mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte,
kyonki woh ab is dil mein raha nahi karte,
humne ansuon se unko vidayee di hai,
in ankho mein ab ashq raha nahi karte.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-
$Ek pal wo apna sa laga aur begana kar chala,
Na jane kyun jate jate mujhe diwana kar chala,
Ek ummid thi baaki us ke aane ki,
Par wo to bhari mehfil ko maikhana kar chala.
-=-=-=-=-=-=--=-=-=-=-
$Is kadar zakham diya humey umar bhar ke liye,
Ke hum ruswa bhi huye aur pata bhi na chala,
Koshishen tamam kar li fir se muskurane ki,
Par waqt dil ko uski chahat ka aashiyana kar chala.

Ek intezaar sa tha


Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi,
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi.
Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye,
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi.
Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the,
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi.
The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang,
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi.
Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai,
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein,
Chup Rahi Woh Masom Si Dulhan Pyar Bankar Chali Thi Tere Angan Mein.
Chor Aaye Thi Sare Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein,
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein.
Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Mein Dubo Diya Tumne,
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan.
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi Tere Aangan Mein,
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein.
Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main,
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai,
Hum khafa kab thay manane ki zaroorat kya hai.
Aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam,
Aap jab hain to thikaane ki zaroorat kya hai.
Teri khushi, tera dar, tera gussa kaafi hai,
Bethikaano ko thikaane ki zaroorat kya hai.
Dil se milne ki tamanna he nahi jab,
Dil mein haathon se haath milaane ki zaroorat kya hai.
Rang aankhon ke liye buu hai demagon ke liye,
phool ko haath lagaane ki zaroorat kya hai.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
hame apno ne luta,
gairo se shikayat kaun kare.
hamne phoolo se zakhm khaye hain,
gairo se shikayat kaun kare.
Dil sheesa samajh kar tod diya,
manzil par la kar chod diya.
yeh pyar nahi ek sapna tha,
sapno se shikayat kaun kare.




Hasino ne haseen bankar gunaah kiya


Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Phir na simtegi agar dosti bikhar jayegi,
zindagi zulf nahi jo phir se sanwar jayegi,
jo khushi de tumhe thaam lo uska daaman,
zindagi roke nahi hasske guzar jayegi.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Chot khate hain aur muskurate hain,
is dil ko sabar karna sikhate hain.
Hum to gham lekar bhi yaad rakhte hai,
aur ek woh hain jo gham dekar bhi bhool jate hain .
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe to humein yaad karoge tum bhi.
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi,
par ek din mere liye waaqt barbaad karoge tum bhi.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Dhoka diya tha jab usne mujhe,
zindagi se mein naraaz tha,
phir socha unhe dil se nikaal du,
dekha to woh kambakth dil bhi unke pass tha.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Gairon ko gale lagake woh bole,
Tu hai kasoorwar is rishtey ki.
Tu hai gunhegaar mere dukhon ki,
kaun chahta hai apne pyar ko kho dena,
Kya yahi saza milti hai kisiko wafa karne ki.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Hum apni ulfaton me aise kho gaye,
Manzil to hai nazar me par raaste kho gaye.
Usne diye tamaache tohfe me ek se ek,
Wada-e-wafa nibhane hum dar pe uske jo gaye.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Kya kaat liye chaar din pardes me,
ab wo hume apna purana aashiq bhi samajhte nahi.
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai,
wo aise guzarte hai jaise jaante nahi.
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai duniya ka,
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Aap Ne ki Bewaffai,
Magar Main Abhi Waffa karta hoon.
Aap Ne ki Bewaffai,
Magar Main Abhi Waffa karta hoon.
kahi Aankon mein na aajaye aansu,
isliye Muskurate rehata hoon.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain,
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain.
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi,
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain.
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha,
Aaj hue se diwane dhundhte hain.
Musafir bekhabar hain teri aankhon se,
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain.
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale,
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain.
nikal aate hain ashq hanste hanste,
hum to rone ke bahane dhoondhte hain.

Lehron me dubatay rahey kinara na mila

Lehron me dubatay rahey kinara na mila,
Tujhse bichad k fir koi duja na mila,
kuch log thodi der k liye achey lagy,
magar hum jiske ho sakey koi waisa na mila.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Zindagi ek paheli se lagti hai,
Har lamha ek saheli si lagti hai,
isme kabhi aansu to kabhi gam hai,
jise soch kar aaj meri aankhe nam hai.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Chand utra tha hamare aangan mein,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila karein,
jab chand hi hamara na hua.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Bahut khusnuma kal ki raat guzri,
kuch tanha par kuch khaas guzri,
na neend aayi na khwaab koi,
bas aapke hi khayalon ke saath guzri.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu dard ka ehsaas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Dooriyan bahut hain par itna samajh lo,
paas rehkar bhi koi rishta khaas nahi hota.
Tum dil ke itne paas ho ki dooriyon ka ehsaas nahi hota

B E W A F A A


B E W A F A A

Jab Hato Me Rachaye Jayegi Mehedi Teri

Tab Jism Me Nahi Hogi Jaan Meri

Haldi Chandan Sa Hoga Badan Tera

Mujko Pinaya Jayega Kafan Mera

Royege Tere Gharwale Teri Bidayi Dekhakar

Royege Mere Gharwale Meri Judayi Dekhakar

Tujhe Bitaya Jayega Phoolo Ki Seg Par

Mujko Letaya Jayega Mitti Or Ret Par

Jab Shohar Uthayega Ghugat Tera

Tab Kabar Me Honga Hisaab Mera

Farishte Aakar Mujse Puchege Bata

Zindagi Bhar Ky
a Kiya Haste Haste Khedoga

“Yaar Ki Bandagi Me Sab Kuch Luta Diya”