Tuesday, September 16, 2008

Eei Khudda bahot badda hei jahan tera

Eei Khudda bahot badda hei jahan tera
Ish jahan mein he koi nahi bhi mera
Kehne ko toe tunei bahot kuch diya
Aur kahe toe kuch bhi nahi hei mera!
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Mohabbat ko mahobbat ki tarah paa na sake
Mohabbat ko ibaadat keh Khudda tujhe maan liya
Dil sei dil toe kabhi mill na sakei
Tere kadmo mein dil ko kurbaan kar diya
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Eei mehboob mere yeh julm na kar
Inn nazaro kei tir sei dil pei vaar na kar
Yeh dil tumhei har pal duwaaye deta hei
Thoda soch kar tun ish dil par rahem kar
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Yeh doe nanhi si aankhein, sacch chupaaye toe kaise
Yeh ek chotta sa dil, raaz bataaye toe kaise
Ajib uljan mein hei, koi ishe suljaaye
Raaz chupaaye toe kaise, aur bataaye bhi toe kaise
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
apne honthon par sajaa kar tujhe,
ham tere hi geet gaana chahte hain,
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi,
bas ek baar roshan hona chahte hain......
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
ab bhi har subah teri yaad chali aati hai,
din hamare sang bita kar raat ko hi jaati hai,
teri yaadon ke aane jaane ka silsila yun hi chalta rehta hai,
aur dil hamara shama ki tarah jalta rehta hai......
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
hukm hai yaar ka,
dard chhupa kar ankhon me ,
tum yun hi hansa karo,
yaad hamari aaye to bhi,
aansuon se na vaasta karo

No comments: