Thursday, September 11, 2008

Hum Ne Kab Tum Se Milnay Ka Irada Chaha.

Hum Ne Kab Tum eMilnay Ka Irada Chaha.!!
Door Reh Kar Tumhe Or Bhi Ziada Chaha
Bohot Shidaat Say Aayi Yaad Tumhari
Jab Jab Tumhay Bholnay Ka Irada Chaha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na Tujhay Choor Sakte Hain,Tere Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh Kaisi Be-Basii Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Sakte

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi Sakte

Chupa Sakte Hain Aur Naa Hum Dekha Sakte Hain Logo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Sakte

Kaha Tha Choor Dein Gay Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa To Nahi Sakte Magar Khoo Bhi Nahi Sakte

Humara Aik Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
Jiyeen Kaise Ke Tum Se Door Aab Ho Bhi Nahi Sakte

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye

bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud kushi ka maza hum se poochhye

agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye

hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye

woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye

na doost banao Huzeifa, na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye

No comments: