Thursday, September 11, 2008

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein

Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

kho gya jo ussay dhoond k laaoon kaisay
laapaton ka pata sabko bataoon kaisay
woh tou kehta hai chalo saath saffar kartay hain
saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaisay
meray alfaaz mein woh apni ghazal kaisay kahay?
apni aankhon se ussay khwab dikhaoon kaisay
woh jo hota tou har roz jashan sa hota
uske jaanay pe ab eid manaoon kaisay

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He
Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He
Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila he
Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya

No comments: