Tuesday, September 16, 2008

Kaise thi wo raat, kuch kaha sakta nahi main

Kaise thi wo raat, kuch kaha sakta nahi main,
chahoon kahana to bayaan kar sakta nahi main....
dulhan ban ke meri jab wo baahon me aaye thi,
sej saji thi phoolon ki, par usne mahakaai thi........
ghoongat me ek chand tha, aur sirf tanhaai thi,
aawaz dil ke dharakne ki bhi, phir zor se aaye thi...
pyar se jo maine ghoongat chand par se hataya tha,
pyar ka rang bhi utar kar uske chehre par aaya tha.....
baahon me lekar usko, phir labon ki laali churaai thi,
us sard raat me saanse bhi, shola ban kar takraai thi.....
tika, bindi, kangan, payal sabne shor machaaya tha,
jab uske shokh badan ko maine apna hath lagaaya tha.....
doob gaye the hum dono, dahaki se pyar ki aag me,
tod diya tha humne kaliyon ko, uske pyar ke baag me....
kya batlaayen ab hum, wo meri kis kadar niraali thi,
humari SUHAAG ki wo RAAT, jo itni matwaali thi........

No comments: