Monday, September 8, 2008

kuchh na kisi se bolenge

kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge
hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge
Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge
jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge
neend to kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon...
Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho?

No comments: