Monday, September 8, 2008

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "HEENA"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati

No comments: