Monday, September 8, 2008

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh HEENA hi sahi dekh ke usko SADDAM
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...

No comments: