Friday, September 26, 2008

wo kahtey hain Dard

wo kahtey hain kyun karte ho mujhse itni muhabbat
main kahta hoon kyun karta hai ye seene me dhak dhak

wo kahte hain tum bhawnaon me bahe jate ho
main kahta hoon main to bas tera sath pana chahta hoon

wo kahte hain main kis aur ki hone wali hoon
main kahta hoon main ye zindagi tere naam karta hoon

wo kahte hain meri zindagi se door chale jaoo ab
main kahta hoon main to ab jamana chodd jata hoon

wo kahte hain mat karna ab tum yaad mujhey
main kahta hoon bebas dil pe mera koi jor nahi

wo kahte hain khoosh hoon main apni zindagi mein
main kahta hoon bas yahi to chacha tha maine bandigi me

wo kahte hain main tujhey ruswa kar jaoongi
maine kahta hoon yehi to hamari takdeer hai

wo kahte hain meri galiyon me fir kabhi na aana
maine kahta hoon marne se pahle ek baar jhalak dikha jana

No comments: