Monday, September 15, 2008

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai
Muskurana To Apni Aadat Hai
Roshni Ho Ke Ghup Andhera Ho
Dil Jalaana To Apni Aadat Hai
Aap Kab Tak Sambhalege Humein
Larrkharrana To Apni Aadat Hai
Hain Sitamgar Khafa To Hone Do
Sar Uthaana To Apni Aadat Hai
Raah Chalti Hui Museebat Ko
Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai
Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai !

Aey zindagi tu mujhse kya chahti hai
Kahin jeet to kahin har chahati hai

Kyon cheen leti ho mujhse apnain
Kyon todh deti ho tum mere sapnain

Koi mila tha kuch aise safar main
Kadam thakey they jab rah hi main

Vo jo mile tu ladkhadate kadam bhi
Manzil doondnain lage mere kadam bhi

Ab voh alug hain khud se b hum se bhi
Hum b khafa hain unse b khud se bhi

Chalo yeh faisla ab voh kiye hain
Hum hi kisi kaam k hi nahi hain

Aey zindagi tu bade kaam ki cheez hi hai
Kabhi dil tu kabhi dhakan hi cheente hai

No comments: