Wednesday, September 10, 2008

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye

Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye

Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye

Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-

Har paudhe ko seencha tha pyar ke ehsas se
Kyun khilta hua phool pairon se masal gaya

Ugta tha jahan muskurate hue suraj har roz
Wo suraj kyun waqt se pehle hai dhal gaya

Jo dil jude the ek doosre se ek anjani dor se
Ye kaunsa ehsaas aaj un dilon ko chhal gaya

Kahan gayi wo mohabbat jo ek doosre se thi
Aapas main kyun shak ka yeh teer chal gaya !!

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!

No comments: