Saturday, October 10, 2009

jiski aarzoo thi woh dilbar na mila

jiski aarzoo thi woh dilbar na mila,

barso jiska intazar kiya woh pal na mila.

ajib khel hai ye muhobbat ka,

kisiko hum na mile to koi humko na mila.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

gam ne hasne na diya zamane ne rone na diya,

is uljjan ne chain se jine na diya.

thak ke jab sitaro se panah li,

neend ayi to teri yaado ne sone na diya.

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ye pyari nigahein yaad rahengi,

milkar na milne ki ada yaad rahegi,

mumkin nahi ki main tumhe bhula dun,

aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,

Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,

Khud hi kar li bewafai humne,

taaki unpar koi ilzaam na aaye…

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mehkhane me jam tut jata hai,

ishq me Dil tut jata hai,

Na jane kya rishta hai in Dono me,

jam tute to ishq yaad Aata hai,

Dil tute to jam yaad Aata hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tha koi jo mere dil ko zakham de geya,

Zindgi bhar jeene ki Qasam de geya,

Lakhon phoolon me se ek phool chuna tha main ne,

Jo kanton se bhi gehra zakham de geya

No comments: