Monday, September 15, 2008

Aaj ki raat


Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hoon, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi….
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanaasaai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnaai nahin…..
Merey chandaa, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjho haal-e-dil bayan hua…
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhein gey kuch naya hua……

No comments: