Sunday, September 14, 2008

Teri yaad hamesha rahegi

Teri yaad hamesha rahegi,
teri faryaad hamesha rahegi,
teri har woh baat, saare woh khayaal,
dil mein tera woh armaan, chahat ka farmaan,
na bhooloonga kabhi waqt ke saath,
tuhi ek chahat thi, dil ki zaroorat thi,
gham mujhe rahega na ezhaar karne ka,
zindagi mein tujhse door rehne ka,
dua khuda se karoon ki main isse sehloon,
teri yaad ko kinaara banakar rehloon.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri aadat si hogayi thi,
dil ki tu raahat si hogayi thi,
teri judaai na manzoor thi kabhi,
dil se dil ki duuri na manzoor hai kabhi,
mere ezhaar-e-ishq ki mujhe hamesha gham rahegi,
tujhse na keh paane ki sajaa rahegi,
sabak mere baatoon mein nahin zindagi mein rahegi,
tere wafaa ko salaam, judaai se kafaa rahegi.
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Raah mein chalte the teri yaad lekar,
kaise chalenge ab bin tere faryaad lekar,
har kadam ek sadma lagta hai ,
chalte raah mein har koi tujhsa lagta hai,
bebuniyaad si lagti hai zindagi,
kaise guzaroon, na kat thi hai zindagi.

No comments: