Monday, September 8, 2008

Is hasrat se mila kya mujhko

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana

No comments: